Dharmang 的个人资料All About Love, Life & L...照片日志列表更多 工具 帮助

日志


12月18日

Shayari

 
 
 
 
Hum  use bhula kar bhi nahi ji sake,
hum use yaad rakh kar bhi nahi ji sake,
mar  jaate kabke unke bina
par unki baaho ke bina mar bhi nahi sakte.
 
 
 
Mohabbat  ke bhi kuch andaz hote hai,
jagti ankhon me bhi kuch khawb hote hai,
zaruri  nahi ki gum me hi ansu nikle,
muskurati ankhon me bhi sailab hote hain.
  
 
 
Ae  palak tu band ho ja,
khwabo mein unki surat to nazar aayegi,
intezar to subah  dubara shuru hoga,
kam se kam raat to khushi se kat jayegi.
 
 

Yeh  dekha hai humne aazmakar,
dhoka dete hai log aksar kareeb aakar,
kehti hai  duniya par yeh dil nahi maanta
ki chod jaoge tum bhi ek din apna banakar.
 
 
Tere  hote hue bhi tanhai mili hai,
wafa karke bhi bewafai mili hai,
jitni dua ki  tumhe pane ki,
us se jyada teri judai mili hai.
 
 
 
Dil  ke jhakhmo ko unse chupana pada,
palke bhigi thi par muskurana pada,
kaise ulte  hain mohabbat ke ye riwaz,
Roothna chahte the par unko manana pada.
 
  
 
Unke  pyar me humari zindagi kat rahi he mehkhane me,
na humne kuch kaha,
na unhone  kuch kaha,
fir unhe kyon he shikayat humari zindgani se.
 
 

Ghum  ye nahi ki aapne humse pyaar karna chod diya hai,
magar gum yeh hai ki aapne  aaj kal humse nafrat karna bhi chod diya hai.
 
 

Tum  kya jano kya hoti hai tanhai,
is tute hue patte se puch kya hoti hai judai.
Yun  bewafa ka ilzaam na de zalim,
is waqt se puch ke kis waqt teri yaad na aayi.
 
 
 
Nafrat  thi meri zindagi se to ulfat kyon ki,
dena tha zehar to mohabbat kyon ki,
dete  ho zehar to kehte ho pina hoga,
pita hu zehar to kehte ho jeena hoga.
 
 

Kabar  ki mitti utha le gaya koi,
usi bahane hume chukar gaya koi,
tanhai aur andhere  me khush the hum,
lekin phir se intezar karne ki wajah de gaya koi.
 
 

Na  kabhi ye chupaya ki pyar kitna hai,
na kabhi ye jataya ki dard kitna hai,
bus  ek hume aur uss khuda ko hai maloom,
tujhse mulakat ka intezar kitna hai.
 
 
 
Hum  phir bewafa se rishta bana baithe,
phir unki saadgi se dhoka kha baithe, 
pathron se hai taalukaat apna,
phir bhi sheeshe ka ghar bana baithe.
Contact
 
 
Mail Me:
 
10月21日

In Love Shayari

 
 
                   Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
               Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
               
               Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
               Main Tanha Gunahgar To Nahi
 
               Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
               Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai
     
               Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
               Qadam mila ke jo hamare saath aap chali
       
               Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam, 
               Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai 
         
               Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
               Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi
         
               Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
               Magar kya karain apni rahain juda hain
         
               Saamne baithe raho dil ko qaraar aa'aegaa
               Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa
        
               Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai
               Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai
       
               Hai kuch baat mo-min jo chaa gaye khamoshi
               Kis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye ho
      
               Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao
               Itna ruk ruk ke chalogi to qayamat hogi
         
               Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Bujh jaya Karte Hai
               Aur ek hum hain jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai

 

         

               Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
               Mein tujhe bhool kar zinda rahoon Khuda na kare
               Raheyga saath tera pyar zindagi ban kar
               Yeh aur baat hai zindagi meri wafa na kare
          
               Yeh theek hai nahee marta koi judaee mein
               Khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
         
               Suna hai usko muhabbat duaein deti hai
               Jo dil pe chot tou khaye magar gila na kare
         
               Zamaana dekh chuka hai parrakh chuka hai ussay
               "Qateel" jaan se jaaye per iltijja na kare
         
                Ab rah gaye kaha woh purani moHbatain
               Kar rahay hain woh bhi zubani muHbatain
         
               
               Is rah par chalo to tumHay yaad ye rahay
               Hoti nahi hain asaa'n nibhani moHbatain
               
               Har mor har qadam par tumHay yaad aoo ga
               Asaa'N nahi hain meri bhulani moHbatain
               
               Dil ka na haal pochiye chehra hi dekhiye
               HuM ko bhi agaye hain sajani moHbatain
               
               ApNo se mila kuch nahi to kya huwa ruMaan
               HuM ge lay gay lakay begani moHbatain
               
9月9日

Hot Shayari

Dosti ka pehala pegam aapke naam,
Zindagi ki akhari sham aapke naam.
Iss safar main humsafar hain hum dono,
Is dosti ko nibhana hain aapka kaam.

 Is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,
Yu yaad na karke saza na dijiye.

 Rishton ki ye duniye hai niraali,
Sab riston se pyaari hai dosti tumhaari.
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree,
Agar aa jaaye muskaan hot pe tumahari.

 Khuda se thoda raham khareed lete,
Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar kahi bikti khushiya meri,
To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.

 Jam pe jam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar jayegi.
Arey do boond dosti ke pi le,
Zindagi saari nashe mein guzar jayegi.

Fiza mein mehekti ek shaam ho tum,
Pyar mein chalakta jam ho tum.
Seene main chupaye phirte hai hum yaad tumahari,
Meri zindagi ka dusra naam ho tum.

Tum paas hot to tujhpe pyar aata hai,
Tum door ho to tera intezaar satata hai.
Kya kahe is dil ki haalat ki,
Tujhe yaad kar karke hume bukhaar ho jaata hai.

Vaade pew o aitbaar nahi karte,
Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte.
Darta hai dil unki ruswai se,
Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte.

Har kadam par imtihaan leti hai zindagi,
Har waqt naya sadma deti hai zindagi.
Hum jindagi se kya shikwa kare,
Aap jaise dost bhi to deti hai zindagi.

Kaash who nagme hame sunaye na hote,
Aaj unko sun kar aansu aye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.

Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye

Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote

Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge
Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin
Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge

Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .
Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai.
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai

Kaaton se bhara mera aashiyaana ho gaya hai
Phoolon ko dekhe to ek zamaaana ho gaya hai
 
Hansi uski sun kar hoti thi subah meri
Khamoshi se aaj kal dostaana ho gaya hai
 
Chanchal si aahat uski aati hai khwabon mein
Sona mere liye to bas bahaana ho gaya hai
 
Thi zinda meri basti uske eh-do-karam se
Bichadne ke baad to ye viraaana ho gaya hai
 
Kehte hai man  ke peena chhod de
Jabki khali mera paimaana ho gaya hai
 
Sunaata tha haal-e-dil zamaane ko pehle
Ab to ye kissa bhi puraana ho gaya hai

tu salamat rahe ye dua hai sada
achcha sathi mile ye faryaad hai sada

agar kabhi tu ho jaye apne sathi se juda
tou tujhe mile apni saari adaa

kadam dagmaga jaaye raah pe kabhi
sabhalne ki koshih karenge karte hai vada

jaha se bhi guzro tera sathi sath ho
tere armaan sach ho tujhpe ho wo fida

aisi teri yari ho aisi ho dosti
jiski misaal ho kayam duniya mien sada

tu khush rahe aabaad rahe usse milne ke baad
na baki rahe koi aas teri use paane ke baad...

 

Dj

*  *  *  *  F  e  e  l i  n  g  s  *  *  *  *

For true lovers

Janta hu ke bewafa hai wo, fir bhi dil ke hato fareb khata hoo.. roz kehta hu ki bhool jaonga usko, ishi baat ko bhul jata hoo..

 

Aansu o ko palko tak laya mat karo, dil ki baat kisi ko bataya mat karo.. log mutthi me namak liye firte hai, apne zakhmo ko unhe dikhaya mat karo..

 

I wish i were a tear of your eye, then i would run down on your cheeks and die on lips.. i wish you were tear in my eyes, then i never cry in fear of losing you..

 

Isq ke riste kitne ajib hote hai, dur reh kar bhi kitne karib hote hai.. meri barbadi ka gam na karo yaaro, ye to apne apne naseeb hote hai..

 

Wo hamare nahi to kya gam hai, ham to unhi ke hai ye kya kam hai.. na gam kam hai na aansu kam hai, dekhte hai rulane wale me kitna dam hai..

 

Sikayat na karta zamane se koi, agar man jata manane se koi.. kisi ko na karte yaad, agar bhool jata bhoolane se koi..

 

Gam ki andhi se me sawar jaonga, sagar hu mai khudi me utar jaonga.. muze marne ke liye fansi ki jaroorat kya hai, apne dil se nikal do, me yuhi mar janonga

 

Nind ki aus se palko ko bhigoye kaise, jagna jinka mukaddar ho wo soye kaise.. ret daman me ho ya dast me, ret me fasle tamanna koi boye kaise..

 

Dil me unki yaad ke siva kuchh bhi nahi, aankh me ab ansu ke siva kuchh bhi nahi.. koi kehde hamare dilbar sejake, ab jindagi me teri yaad ke siva kuchh bhi nahi ..

 

Bhul se agar koi bhul hui ho to, bul samaj kar use bhul jana.. bhulna sirf bhul ko, bhul kar bhi hame na bhul jana..

 

Gujare hue kal ki yaad aati hai, kuchh lamho se aankh bhar aati hai.. wo sam nirali aur subha rangin hoti hai, jab tumhare jaise mehboob ki yaad aati hai..

 

Har phool khusbudar nahi hota, har pathhar chamakdar nahi hota.. dosti dekh kar karna mere dost har dost ham sa dildar nahi hota..

 

Dil se teri yaad na jaye to me kya karu, har jagha tuhi tu nazar aye to me kya karu..  lane ko to le aao khwab me par nind hi na aye to me kya karoo..

 

Tufan si jindagi ko panah kaha milti hai, har rahi ko manzil kaha milti hai..  hosla to tajmahal banane ka sabko hai, magar is jaha me mumtaz kaha milti hai..

 

Phool ka rang ud jaye, sirf boo rah jaye.. mai itna mitoo, ki tu rah jaye..

Gool gaye, gulistan rah gaye.. sare sayar mar gaye, tum ullu ke pathhe rah gaye..

 

Zamane se nahi hum tanhai se darte hain, pyar se nahi hum ruswai se darte hai.. dil me umang hai tumse milne ki, par milne ke baad aane wali judai se darte hai..

 

Jaan khai muzko jindagi se pyari, jaan ke liye kardu kurban yaari.. jaan ke liye tod du dosti tumhari, ab tumse kya chhupana dost tumhi to jaan ho hamari..

 

Humne socha tha shayad hum hi chahte hai aapko, par tumhe chahne wale to kafle nikle.. dil ne kaha shikayat kar khuda se , par wo khuda bhi tere chahne wale nikle..

Dj

*  *  *  *  F  e  e  l i  n  g  s  *  *  *  *

For Some One Special

Hamari Aankho Me Wo Karishma Zarur Hai.. Ham Ek Bar Dekh Le Wo Tadapta Zarror Hai..
 

Nazar jhuki to pemane bane, dil tute to mekhane bane.. kuchh na kuchh to hai tujme aai jalim, yuhi nahi ham tere diwane bane..

 

Tanhai me waqt gujara karte hai, ham har din har pal tumhe yaad kiya karte hai.. ham nahi jante par ghar wale batate hai, ham nind me bhi tumhara naam liya karte hai..

 

Khamosia teri muzse baate karti hai, meri har aah tera har dard samajti hai.. pata hai majboor hai tu bhi aur me bhi, fir bhi aankhe tere didar ko tarasti hai..

 

Jindagi tuj bin ulfat si lagti hai, ek pal ki judai muddat si lagti hai.. pahle nahi tha socha ab sochne laga hu mai, jindagi ke har lamho me tumhari jarurat si lagti hai..

 

Mat muskurao itna, ki phoolo ko khabar lag jaye.. ke kare wo tarif tumhari, aur tumhe nazar lag jaye..

 

Bas nigaho se dekh lete, tamanna thi aazma ne ki.. ham to uhi behos ho jate, kya zarurat thi mushkurane ki..

 

Jo aap ke chahre se naqab uthe, har dil bane maikhana har aankh ho paimana..wo kehte na kahte kuchh wo karte na karte kuchh, ai kash wo sun lete muzse mera afsana

 

Maine masoom baharo me tumhe dekha hai, maine har ek isharo me tumhe dekha hai.. mairi mohabbat teri kasam, maine aasuo ki dhaaro me tumhe dekha hai..

 

Badalna aata nahi hame mausam ki tarha, har waqt tera intezar karte hai.. jise tum samet na sako jindagi bhar, kasam tumhari tumhe itna pyar karte hai..

 

Dil me tumhare apni kami chhod jayenge, aankho me aansu o ki nami chhod jayenge.. yaad rakhan muze dhoondte firoge ek din, aisi lab par apni mohabbat chhod jayenge..

 

Kisi ki chahat pe jinda rahne wale ham na the, kisi par mar mitne wale ham na the.. ay jaan sirf yaad karte hai tumhe, warna kisi ko yaad karne wale ham na the..

 

Aap ke khayalo se fursat nahi milti, hame ek pal ki rahat nahi milti.. milto gaya hai sab kuchh, bas aapki ek zalak nahi milti..

 

Jam tutne ka bahana na kar, ham teri ankho se pi lenge.. tum mat aao par aane ka wada to kar, ham tere intajar ke sahare ji lenge

 

Aaj chand par noor hai, is baat ka chand ko garoor hai..  ham kis par garoor kare jalim, mera chand hamse dur hai..

 

Najro se jab nazro ka takrav hota hai, har mod par kisi ka intezar hota hai..  dil rota hai aur zakhm haste hai, isi ka naam to pyar hota hai..

 

Ham aapki yad me udas hai, ap se milneki aas hai..  chahe dost kitne hi kyu na ho, apne liye to ap hi khas hai..

 

Kudrat ke karismo me agar raat na hoti, khwabo me bhi ap se mulakat naa hoti.. ye dil to har ek gam ki wajh hai, dil na hota to koi bat na hoti..

 

Mere jine ke liye aap ke arman kafi hai, dil ki kalam se likhi dastan kafi hai..  tir talwar ki kya jaroorat hai, katl ke liye aap ki muskan hi kafi hai..

 

Jab pyar ki dastan waqt sunaega, ham ko bhi koi yaad ayega..  bhul jayenge jindagi ke gamo ko, jab aap ke sath gujra waqt yaad ayega..

 

Sam aayi fir kali ghata chhayi, dil dharka teri yaad aayi.. dil ne mahesus kiya us hava ko, jo chhu kar tumhe mere paas aayi..

 

Phool khilte hai baharo ka sama hota hai, aise mausam me hi to pyar jawa hota hai.. dil ki baat juba se nahi kahte, ye wo hai jo nazro se bayan hota hai.

 

Mohabbat ke naam se darte the ham, dil ki dharkan dharka gaya koi.. anjani raho par chal rahe the ham, achanak hi manzil dikha gaya koi..

 

Aapke shaher ka mausam suhana lage, aapki ek shaam chura lun agar bura naa lage.. aap chahe to bhula de humko, par aapko bhulane mai shayad hame zamana lage..

 

Dj

* *  *  *  F  e  e  l i  n  g  s  *  *  *  *

 

After Break Up -3

       Is hasrat se mila kya mujhko
        Ik jhalak mere dildaar ki
        Is muhabbat se mila kya mujhko
         Bechaini-o-beqarari yaar ki,
        Is ashiqui se mila kya mujhko
        Ik sunahari raah ishq ki,
          Aur tere pyaar se mila kya mujhko
         Ik raah jeene ki hamvaar si
          
        Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana 
        na jaane kahan kho gaya vo zamana 
           tumhen bhuulane ki main koshish karunga 
           ye vaada karo ke na tum yaad aana 
        mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai 
        tumhen bevafaa kah raha hai zamana 
           Khudara meri qabr pe tum na aana
           tumhen dekh kar shaq karega zamana
           
        Wada to ker lete hain
        Nibhana bhool jate hain
        Lagaaa kar aaag seene main
        Bujhana bhool jate hain
        
        Kuchh na kisi se bolenge
        tanhaaii mein ro lenge
           hum be-rahabaron ka kyaa 
           saath kisi ke ho lenge
        Khud to hue rusvaa lekin
        tera bhaid na kholenge
           jeevan zahar bharaa saagar
           kab tak amrit gholenge
        neend to kya aaegii 'Faraz'
        maut aai to so lenge
        
        Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale 
        mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........
           Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par 
           tumse acche hain mere haal pe hansne vaale... 
        Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon 
        aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......
           Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo 
           phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale
           
        Khoob aati hai jab bhi aati hai,
        Yaad teri bahot sataati hai,
        Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
        Teri soorat ubhar ke aati hai
        
        Bhoolne waale se koyi keh de zara
        is tarah yaad aane se kya faaida,
           Jab mere dil ki duniya basaati nahin
           phir khayaalon mein aane se kya faaida
        Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
        Aap kya badle duniya badal si gayi,
           Aasra de ke dil tod te hain mera
           Is tarah sataane se kya faaida, 
        Chaar tinke jala ke kya mil gaya
        Mit sakana zamane se mera nishaan,
           Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
           Aashiaan par girane se kya faaida
           
           
        Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi 
        baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi 
           Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin 
           ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
        Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo 
        usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
        
        Yaaron mar bhi gaya to,
        Aarti meri dafnaa dena
        Utha kar janaza mera,
        Unki gali ghuma dena
        Agar wo mera pata puche to
        Shamshaan ghaat bata dena
        
        Yeh ladki jawani main, jawani se, jawano ko tarpaye gi
        Aankhon se karegi qatal, aur labon se muskaraye gi
        
        Raat itni haseen thi
        Ke saare so rahe the
        Hum hi aise badnaseeb the
        Jo aap ki yaad main ro rahe the

Contacts

d.feelings@gmail.com

jani_feelings@yahoo.com

Dj

* *  *  *  F  e  e  l  i  n  g  s  *  *  *  

After Break Up -2

Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
        zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
        Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
        Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
        Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
        Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
        Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
        Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain
        
        Ashq Mile To Pee Lete Hain
        Aap Kahe To Mar Jayen Hum
        Aap Kahe To Jee Lete Hain
        Hum To Hain Un Phoolon Jaise
        Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain
        
        Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
            Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
        Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
        Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
        
        Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
        Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
        Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna

            Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum

 

        Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
        Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
        Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
        Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
        
        Ruth gya hai mujhko manane waala
        Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
        Per jaane kya sonchta hai
        Yeh khula darwaaza
        Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
        
        Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
        aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
           log har baat ka afsana bana lete hain 
           sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo 
        ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho 
        pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo 
           shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin" 
           dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
           
        Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
        Na Jaana Kaha se seekh li unhone
        Yeh Ada Zidd par utar jaane ki.
        
        Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
        Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
        Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
        Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga
        
        
        Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
        Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
        Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
        Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain
        
        
        Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
        Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
        Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
        Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi
        
        
        Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi 
        baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi 
           Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin 
           ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
        Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo 
        usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
        
        Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
        kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
           Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
           lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
        Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
        gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
           Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
           kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi
        
        Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
        Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
          Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
          Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
        Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
        Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
           Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
          Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya

After Break Up -1

Sayari After Break Up

 

        Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai
        Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai
        
        Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
        Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi
        
        Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
        Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah
        
        Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
        Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki
        
        In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
        Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain
        
        Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa Zamaana
        Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana
        
        Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
        Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum
        
        Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey
        Gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya
        
        Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
        Agar kare to Qyamat tak judaa na kare
        
        Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay.
        Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay
        
        Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
        Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.
        
        Galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum
        Samajh sakey na koi woh kitaab hain hum
        
        Aandhi aati hai, tufaaan chale jaate hain
        Yaade rah jaati hai, insaan chale jaate hain
        
        Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
        Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
        Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
        Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
        
        Hum Bewafa Har Giz Na Thay
        Par Hum Wafa Kar Na Sakay
        Humain Mili Us Ki Saza
        Jo Khata Hum Kar Na Sakay
        Hui hum se ye nadani,
        Kay teri mehfil mein aa baithe
        Ho kay zameen ki khakh
        Aasman se dil laga baithe
        
        Dil si cheez hai, dene ko hai de day
        Magar koi qabeel bhi to ho
        Hum to jaan de kay bhi khush hain
        Magar koi qateel bhi to ho
        
        Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
        Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
        Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
        Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
        Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
        Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
        Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
        Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
        Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
        Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Fall In Love

Fall In love

 

           Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai

               Main Tanha Gunahgar To Nahi
               
               Kafas Udas Hai yaaro, Subah Se Kuch To Kaho
               Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-Yaar Chale
               
               Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
               Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai
               
               Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
               Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad
               
               Teri aur meri nazar ka na kabhi bair ho
               Lo raah main takra gaye, allah khair ho
               
               Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski
               Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi
               
               Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par 
               Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi
               
               Pyar main jadoo bhi kya maza hai
               Lagta hai ke ek khubsurat saza hai
               
               Tu Aatish-E-Dozakh Se Darata Hai Jin hain
               Woh Aag Ko Pee Jate Hain Paani Kar Ke
               
               Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
               Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai
               
               Mujh Se Mut Pouch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum
               Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain
               
               Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka Naam
               Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baagh Main Aa Jaane Ka Naam
               
               Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do
               Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain
               
               Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
               Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki
               
               Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
               Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti
               
               Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna parta hai
               Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai
               
               Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
               Agar kare to Qyamat tak judaa na kare
               
               Mujh se achhe to hai.n teri rah ke pathhar sanam,
               Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate huye
               
               Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga
               Mujh Se Shadi Kar Le, Tujhko Sawaab Hoga

 


            Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar

               Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
               Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
               Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
 
               Mast Nazron se dekh lenaa tha
               Agar tamanna thi aazmane ki
               Hum to behust youn hi ho jaate
               Kya zaroorat thi muskurane ki
               
               Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
               Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
               Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
               Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
               
               Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
               Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
               Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
               Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
               
               Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
               Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
               Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
               Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan
                                               
               Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
               Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
                     Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
                     Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De
                                 
               Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi 
               jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi 
               le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar 
               be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi 
               
               Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
               mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, 
                  Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, 
                  pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, 
               Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho, 
               dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho, 
                  In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum, 
                  mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho, 
               Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, 
               milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho 
               
               
               Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
               aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
                  log har baat ka afsana bana lete hain 
                  sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo 
               ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho 
               pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo 
                  shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin" 
                  dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Contacts

d.feelings@gmail.com

jani_feelings@yahoo.com

Dj

* *  *  *  F  e  e  l  i  n  g  s  *  *  *  *

 

 




Romantec Sayari

Feeling's Sayari

 

        Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
        Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehboob uski sarhad
        
        Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
        Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi
        
        Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski
        Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi
        
        Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par 
        Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi
        
        Pyar main jadoo bhi kya maza hai
        Lagta hai ke ek khubsurat saza hai
        
        Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
        Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai
        
        Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
        Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
        Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
        Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
        Mast Nazron se dekh lenaa tha
        Agar tamanna thi aazmane ki
        Hum to behust youn hi ho jaate
        Kya zaroorat thi muskurane ki
        
        Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
        Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
        Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
        Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai
        
        Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
        Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
        Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
        Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
        
        Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
        Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
        Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
        Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
        
        Khudaa jab husn deta hai
        nazaakat aaa hi jati hai
        Kadam chun chun kar rakhti ho
        kamar balkha hi jaati hai

 

        Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
        Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
        Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
        Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega
        
        Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
          Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
        Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
        Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah
        
        Aisa lagta hai zindagi tum ho
        Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
           Main zameen par ghana andhera hoon
           Aasmaanon ki chaandini tum ho
        Ab koi aarzoo nahin baakee
        joostjoo meree aakhree tum ho
           Doston-se wafa ki ummeeden!
           Kis zamaane ke aadmee tum ho?
        
        Waqt Ke Saath Badal Jaaye
        Use Pyaar Nahi Kehte
        Musibat Se Jo Darr Jaaye
        Use Yaar Nahi Kehte
           
        Chehre pe haseen chaa jati hai
        Aankhon main suroor aaa jata hai
        Jab tum mujhe apna kahte ho
        Apne pe ghuroor aa jata hai
        
        
        Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
        Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
           Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
           Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
        Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
        Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
            Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
            Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
        Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
        Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
            Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
            Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain
               
        Aisa lagta hai zindagi....
        tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
           Main zameen par ghana andhera hoon...
           Aasmaanon-ki chandni tum ho
        Ab koi aarzoo nahin baaki.........
        justajoo meri aakhri tum ho
           Doston-se wafa ki ummeeden!........
           Kis zamaane ke aadmi tum ho?

 

        Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai 
        tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
           Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi 
           tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
        Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi 
        teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
           Dekh kar log mujhe naam tera lete hain 
           is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
        Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir" 
        shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
        
        Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai 
        deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
           Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
           apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
        Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
        dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
           Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo 
           kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
        Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi 
        jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai 
        
        Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
        mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, 
           Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, 
           pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, 
        Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho, 
        dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho, 
           In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum, 
           mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho, 
        Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, 
        milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho 
           
        Khoob aati hai jab bhi aati hai,
        Yaad teri bahot sataati hai,
        Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
        Teri soorat ubhar ke aati hai
        
        Raat bhar neend hi naa aaye to ,
        Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
        Kyaa hua hai bataaiye kaise,
        Yaad koi bahot hi aaye to
           
        Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
        Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
           Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
           Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
        Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
        Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
            Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
            Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
        Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
        Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
            Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
            Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain
        
        Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
        Kuch chehre mehtaab lagte hain 
        Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
        Ke har lamhe hi azaab lagte hain
          
        Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
        badi aarzoo thi mulaqaat ki,
           Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
           kahaan din guzaaraa kahaan raat di, 
        Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
        zubaan sab samajhte hain jazbaat ki, 
           Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin, 
           musaafir ne jaane kahaan raat ki

Contacts

d.feelings@gmail.com

jani_feelings@yahoo.com

 

Dj

* *  *  *  F  e  e  l  i  n  g  s  *  *  *  *


Arz Kiya Hai

Arz Kiya Hai......

 

Hichkiyon se Ek Baat ka ehsaas hota hai, ki shayad koi hame bhi yaad to karta hai.. Milne na aaye to kya... Hum pe kuch Lamha barbad to karta hai

Ishq ke Rishte kitne ajib hote hai... Dur hokar bhi kitne karib hote hai... Mere barbadi par affsos na karno yaaro... Pyar me sabke aapne nasib hote hai.......

Hum Kabhi aapse Khafa ho nahi sakte... Dosti ke rishte bewafa ho nahi sakte... Aap bhale hame bhulake so jao .... Hum aap ko yaad kiye bina so nahi sakte....

Dua karte hai hum sar jukhake... Ae dost tu aapni manzil ko paaye.. Agar kabhi teri raho me andhera aaye... Roshni ki liye khuda hame jalaye...

Hum ga sakte hai agar raag ho.. hum nach sakte hai aar saaj ho... kaun kaheta hai TajMahal Shajan ne banavaya... Banato hum bhi sakte hai agar Mumtaj aap Ho......

Tum mano ya na mano...Ye haqikat hai... Ishq insan ki jarurat hai.... kisi din aao hamari mahefil me... jan jaoge Jindagi kitani Khubsurat hai.....

Nigaheen aapki pehechan hai hamri.... muskurahat aapki shan hai hamari... rakhna hifajat se aapne aap ko.... sanse tumari jaan hai hamariii.....

Dil tod diyamera aab chita bhi jala dena... kafan na mila to dupattta uuda dena... koi puche ki rog kya hua tha... to najare jukharar mohhabat bata dena.....

Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Ghanti bajainge aur bhaag jayenge !

Maine poocha chand se... Kabhi dekha hai mere yaar sa hasin..... Chand bola.... 12036 entries found !

Arz kiya hai, Door se dekha to santra tha, pass jake dekha to santra tha, cheel ke dekha to bhi santra tha, Khake dekha to bhi santra tha. Wah kya santra tha !

Khuda kare tera mobile kho jaye. Mile mujhe aur mera ho jaye. Karu SMS ladkion ko naam tera aae. Maar tujhe pade aur kaleja mera thanda ho jae.

Ikhtiyarre tabbasum ki lau ko tarranume numayish se aghaa dena... Jo iska matlab samajh aaye to please mujhe bhi bata dena.....

Aaj didar, kal yaar, parso pyar, phir ekrar, aur phir-intzar, phir-takrar, phir-darar, saari mehnat-bekar, aur akhir mein-Ek aur devdas at beer bar !

Contacts

d.feelings@gmail.com

jani_feelings@yahoo.com

 

Dj

*  *  *  *  F  e  e  l  i  n  g  s  *  *  *  *

 

 




Arz Kya Hai Part - II

Tohar chehra moti ke saman, Tohar chehra moti ke saman, Tohar chehra moti ke saman, Tohar chehra moti ke saman, Moti hamar kutte ka naam !

Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote, Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote, chand to tum ho hi, sitare bhi saath hote!!

Suraj Hua Madham , chand bhi chalne laga, mein thehra raha, zamin chalne lagi, sajna kya ye! pyaar hai ? Nalayak, yeh pyar nahi EARTHQUAKE hai! BHAAG!

Jab Jab tum angdai lete ho dam hamara nikal jata hai. Aye Jalim Deodrant lagane me tumhara kya jata hai ?!

unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha, unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha !, unhoonne phool phainka par gamla bhi saath tha !

Idhar khuda hai, udhar khuda hai, jidhar dekho udhar khuda hai, jidhar nahi khuda hai.... udhar AMC kal khodega!!!

The night is dark, the moon is high, I stop my car, u ask why? I come close to u, u feel shy, I tell u those three magical words.... ..."Aaila, tyre puncture!!!"

koi pathar se na maare mere dewaane ko...
koi pathar se na maare mere dewaane ko...
koi pathar se na maare mere dewaane ko...
...bomb se udaa do saale ko!!!
 
Mere marne ke baad mere doston, yu aansoo na bahana, Agar meri yaad aaye to, sidhe upar chale aana!!!

Tumko dekha to ek khyal aaya
Tumko dekha to ek khyal aaya
Tumhari saheli ko dekha to doosra khyal aaya!!!

Jo nisanepe lage use tir kahate hai aur jo dil me utar jaye use taswir  kahate hai ..!!

Ek Ladki Ko Dekha To Aisa Laga
Doosri Ladki Ko Dekha To waisa Laga
Jab Dono Ke Joote Pade...To Ek Jaisa Laga!!!

Unhone kaha mere khawabo me aayenge......
Ji ha mere khawabome aayenge.....
Kambakth Badkismati ko Dekhiye....
Khusi ki Mare... Hume Nind hi nahi aayi

Ab yeh lamhe guzar jayege, Yeh na samajhana hum tumhe bhul jayege, Dil mein rakhege apko chahe Kuch bhi ho jaye Chahe duniya thum jaye.... ya ye dhadkan ruk jaye......

Zindagi kisi ki Amanat nahi hoti, Amanat me kabhi khayanat nahi hoti, Dil ko sambhal ke rakhna DOST..... Ishq ki jail me kabhi zamant nahi hoti !

 




Arz Kiya Hai - III

* Sabne kaha dosti ek dard hai,
humne kaha ye dard
kabul hai.
sabne kaha is dard ke saath jee nahin paoge,

humne kaha teri dosti ke saath marna bhi kabul hai

* Tanhai hai pyar mein,
barbadi hai pyar mein,
aasu hai pyar mein,
bebasi hai pyar mein,
gum bhi hai pyar mein,
haar bhi hai pyar mein,
hamein sab pata hai
lekin kya kare hum bhi hai pyar mein.


* Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!

* ae baarish zara tham ke baras,
jab mera yaar aa jaye to jum ke baras,
pehle na baras ki woh aa na sake,
phir itna baras ki woh jaa na sake.


* aankhon ki zuban woh samajh nahin pate, hoat magar kuch keh nahin pate, apni bebasi kis tarah kahe, koi hai jiske bina hum reh nahin pate.


usko chaha bhi to izhaar karna na aaya,
kat gayi umar saari humein pyar karna na aaya, usne maanga bhi agar kuch to judai mangi, aur humein inkaar karna na aaya.


tute hue pymane mein jaam nahin aata,
ishq ke mariz ko aaram nahin aata,
ae dil todne wale tune yeh to socha hota, tuta hua dil kisi ke kaam nahin aata.

Kaash banaanewale ne sheeshe ka dil banaya hota,Kaash banaane wale ne sheeshe ka dil banaya hota,Todnewale ke haath main koi zakhm to aaya hota

 




Arz Kiya Hai - IV

Duwa karate hai sar zukake
Ki ai dost tu apani manzil ko paaye,
Chha jaaye agar andhera teri rahonme
To roshani ke liye bhagawaan hamako jalaaye !!!
 

Ful ki shuruwar kalise hoti hai,
Zindagiki shuruwat jaan se hoti hai,
Pyaar ki shuruwat dostise ...
Aur dostiki shuruwat aapase hoti hai !!!
 

Kaun yaad rakhata hai naamko,
Log to cheharonko bhi bhul jaate hai,
Aap samandar ki baat karate hai,
Log to aankhonme bhi duub jaate hai !!!
 

Maut ke baadbhi yaad aa raha hai koi,
Mitti meri kabrase utha raha hai koi,
Ai khuda do pal ki zindagi aur de de,
Meri kabrase udaas ja raha hai koi !!!
 

Bhigi Barsaat me jalata hu, tuze kya maloom?
Main samandar hu bikharata hu, tuze kya maloom?
Jabse dekha hai mohabbat ka hasi Tajamahal,
Kate haathonko chhuppata hu, tuze kya maloom?
 

Zamaana gujar gaya haathonko milaye hue,
Muddat ho gayi nazaronko milaye hue,
Din raat nikal gaye yaadonme khoye hue,
Ab kab samane aaoge yaar muskurate hue?
 

In aankhonme aasoo aaye na hote,
Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote,
Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai,
kaash tum zindagime aayehi na hote !!!
 

Baadal garaja magar barasaat nahi aayi,
Dil dhadaka magar aawaj nahi aayi,
Pura din gujarane ko hai dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
 

Umeed aisi ho jo jeene ko majbur kare..
Raah aisi ho jo chalane ko majbur kare,
Mehak kam na ho kabhi apani dostiki,
Dosti aisi ho jo milaneko majbur kare !!!
 

Zindagi sabko mile ye jaruri to nahi,
Pyaar sabko ho jaaye ye jaruri to nahi,
Kuchh dost bahot yaad aate hai zindagi me ,
Magar woh bhi hame yaad kare ye jaruri to nahi !!!
 

Unako chaha bhi to izahaar na karana aaya,
Kat gayi umar hame pyaar na karana aaya,
Unhone maanga bhi agar kuchh to judaai maangi,
Aur ham the ki hame inkaar bhi na karana aaya !!!
 

Mera ikaraar tere inkaar se behatar hoga,
Mera din bhi teri raat se behatar hoga,
Yakeen nahi aata to dolise zankakar dekh lena..
Mera janaazaa teri baaraat se behatar hoga !!!
 

Masti aankhonme hoti hai..sharaab me nahi...
Bhakti shraddhame hoti hai...shabdonme nahi..
Tu bhi jaan le mere dost...
Dosti dilme hoti hai.. dikhaweme nahi...
 

Har kadam pe imtihaan leti hai zindagi..
Har waqt naye sadame deti hai zindagi...
Ham zindagise shikawa kaise kare?
Aap jaise dost bhi to deti hai zindagi !!!
 

Duwaaonki bheed me ek duwa hamaari,
Jisame maangi hamane har khushi tumhari,
Jab bhi muskuraye aap dilase....
Samazo duwa kubul hui hamari !!!

Dj

*  *  *  *  F  e  e  l  i n g  s *  *  *  *